اردو हिंदी
Shama ki lau se khelte dekhe hain maine parwane do | Shaahi Shayari
shama ki lau se khelte dekhe hain maine parwane do

Ghazal

Shama ki lau se khelte dekhe hain maine parwane do

Kanwal Siyalkoti

;

shama ki lau se khelte dekhe hain main ne parwane do
ek to maut se khel raha hai ek kahta hai jaane do

mere badan par tum barsao pyar ki shabnam husn ki aag
yun ghul-mil kar ek nazar se hum paDh len afsane do

jin par jaan luTa di main ne wo hi mujh se barham hain
rone par pabandi hai to qahqaha ek lagane do

tum ne pilai jitni pilai dekho hain pyase rind abhi
saqi-gari se hath na khincho sab ki dua lo aane do

mai se main tauba kar lunga ye lo meri tauba hai
pahle mere hathon mein apni aankhon ke mai-KHane do

us ka kaam hai kahta rahna apna kaam hai sun lena
waiz bhi apna hai 'kanwal' tum waz use farmane do