shama ki aaghosh KHali kar ke parwana chala
aage aage thi haqiqat pichhe afsana chala
kaun diwana tha jo hamrah diwana chala
shakl-e-gard-e-rahguzar kuchh dur virana chala
halqa-e-sud-e-ziyan se ho ke begana chala
be-niyazana tha aaya be-niyazana chala
ye bhi ek rasm-e-talluq hai ba-qadr-e-agahi
baat kabe ki jo aai zikr-e-but-KHana chala
kuchh ishaare kuchh kinae kuchh KHamoshi kuchh bayan
guftugu ka silsila bhi raaz-darana chala
lan-tarani kya buri thi bahar-e-taqrib-e-suKHan
kyun na le kar phir koi zauq-e-kalimana chala

Ghazal
Shama ki aaghosh Khaali kar ke parwana chala
Raza Jaunpuri