اردو हिंदी
Shama ka mai ka shafaq-zar ka gulzar ka rang | Shaahi Shayari
shama ka mai ka shafaq-zar ka gulzar ka rang

Ghazal

Shama ka mai ka shafaq-zar ka gulzar ka rang

Ali Sardar Jafri

;

shama ka mai ka shafaq-zar ka gulzar ka rang
sab hain aur sab se juda hai lab-e-didar ka rang

aks-e-saqi se chamak uTThi hai saghar ki jabin
aur kuchh tez hua baada-e-gulnar ka rang

shaiKH mein himmat-e-rindan-e-qadah-KHwar kahan
ek hi jam mein aashufta hai dastar ka rang

un ke aane ko chhupaun to chhupaun kyun kar
badla badla sa hai mere dar-o-diwar ka rang

shafaq-e-subh-e-shahadat se hai tabinda jabin
warna aaluda-e-KHun tha ufuq-e-dar ka rang

aaftabon ki tarah jagi hai insan ki jot
jagmagata hai sira parda-e-asrar ka rang

waqt ki ruh munawwar hai nawa se meri
asr-e-nau mein hai meri shoKHi-e-afkar ka rang