sham-e-ummid jalate hain hawa mein hum log
dekh kya lae guzar-gah-e-fana mein hum log
zaKHm-dar-zaKHm saman taza kiya karte hain
ghol kar shoKHi-e-maqtal ko hina mein hum log
lakh koshish bhi karen zinda nahin rah sakte
ham-KHayali ki KHatarnak waba mein hum log
soch lo kya yahi jina hai jiye jaana hai
bandhte hain koi tamhid qaza mein hum log
wo dikhai nahin deta use chhu lete hain
lafz mein rang mein KHushbu mein sada mein hum log
dil-shikaston ko KHam-e-zulf-e-butan kafi tha
aur uljhae gae KHak-o-KHala mein hum log
ye kahan aa ke nai fasl ugane nikle
pichhle waqton se mili dhup ghaTa mein hum log
Ghazal
Sham-e-ummid jalate hain hawa mein hum log
syed raza