sham-e-mahfil ho ke bhi girwida-e-mahfil nahin
main hun duniya mein magar duniya mein mera dil nahin
mere dil ki dhaDkanen jab tak hain tufan sainkaDon
mauj betabi hai meri zindagi sahil nahin
ye namazon mein KHayal-e-jannat-e-hur-o-qasur
zahid-e-kaj-bin abhi nau-mashq hai kaamil nahin
be-niyaz-e-fikr-e-manzil be-KHudi ne kar diya
ab mere daman pe dagh-e-hasrat-e-manzil nahin
na-KHuda kyun aasman ko tak raha hai bar bar
ruKH udhar kashti ka ab kar de jidhar sahil nahin
ek dil-e-diwana tha jata raha jaane bhi do
ye kaho kyun aaj-kal si raunaq-e-mahfil nahin
meri fitrat hi nahin 'qaisar' ki main chhup kar piyun
jis mein khaTka ho wo jannat bhi mere qabil nahin
Ghazal
Sham-e-mahfil ho ke bhi girwida-e-mahfil nahin
Qaisar Umrao Tovi