sham-e-iKHlas-o-yaqin dil mein jala kar chaliye
zulmat-e-yas mein ummid jaga kar chaliye
hum se diwane kahan zad-e-safar rakhte hain
sath chalna hai to asbab luTa kar chaliye
ishq ka rasta aasan nahin hota hai
bazi-e-ishq mein jaan apni luTa kar chaliye
raat andheri ho to jugnu ki chamak kafi hai
shart itni hai ki ehsas jaga kar chaliye
nafrat o bughz ka anjam bura hota hai
nafrat o bughz se daman ko bacha kar chaliye
raat saffak hai suraj ko nigal jati hai
apni muTThi mein sitaron ko chhupa kar chaliye
hath ko hath sujhai nahin deta hai 'ashok'
ab charaghon ki jagah dil ko jala kar chaliye
Ghazal
Sham-e-iKHlas-o-yaqin dil mein jala kar chaliye
Ashok Sawhny