اردو हिंदी
ShaKHsiyat usne chamak-dar bana rakkhi hai | Shaahi Shayari
shaKHsiyat usne chamak-dar bana rakkhi hai

Ghazal

ShaKHsiyat usne chamak-dar bana rakkhi hai

Govind Gulshan

;

shaKHsiyat us ne chamak-dar bana rakkhi hai
zehniyat kya kahen bimar bana rakkhi hai

is qadar bhiD ki dushwar hai chalna sab ka
aur ek wo hai ki raftar bana rakkhi hai

ek mushkil ho to aasan bana li jae
us ne to zindagi dushwar bana rakkhi hai

pas aa jata hai main dur chala jaun to
us ne duri bhi lagatar bana rakkhi hai

zehn aur dil mein jo an-ban hai wo an-ban na rahe
is liye darmiyan diwar bana rakkhi hai

shaKHs kaisa hai wo kya hai nahin malum hamein
shahr mein us ne magar dhaar bana rakkhi hai