shajar sukha to fauran kaT gaya hai
kai hisson mein manzar baT gaya hai
yaqinan faisla kuchh aur hota
sitara hi nazar se haT gaya hai
wahi tarik manzar hain gharon ke
kaha kis ne? andhera chhaT gaya hai
kise ab DhunDte phirte ho logo?
wafa ka marhala to kaT gaya hai
suni jab us ne pyason ki kahani
samundar ka kaleja phaT gaya hai

Ghazal
Shajar sukha to fauran kaT gaya hai
Rasheed Javed