shajar shajar nigaran hai kali kali bedar
na jaane kis ki nigahon ko DhunDti hai bahaar
kabhi fughan bhi nashat-o-tarab ka afsana
kabhi hansi bhi taDapte hue dilon ki pukar
na jaane kis ki nashat-e-qadam se hain mahrum
ki ek umr se sune paDe hain rahguzar
hazar haar kisi chashm-e-ashna ke tufail
ujaD ujaD ke base hain mohabbaton ke dayar
ajib haal hai betabi-e-mohabbat ka
shab-e-visal ki rahat mein DhunDti hai qarar
ye barq-e-husn aur us par ye teri KHu-e-hijab
ye sail-e-ishq aur is par nazar nazar ka shumar
hai in ki pursish-e-dard-o-alam mein bhi pinhan
wo ek kasak ki samajhte nahin jise gham-KHwar
Ghazal
Shajar shajar nigaran hai kali kali bedar
Sufi Tabassum

