shajar se mil ke jo rone laga tha
parinda Dar se bichhDa hua tha
Thaharta hi na tha dariya kahin par
magar taswir mein dekha gaya tha
main tishna-lab agarche lauT aaya
magar dariya ko ye mahnga paDa tha
darun-e-dil KHalish aisi khuli thi
ki jis ka rang chehre par uDa tha
main jab nikla tamanna ke safar par
mere raste mein ek sahra paDa tha
ye duniya jis ghaDi guzri yahan se
main tere KHwab mein khoya hua tha
mohabbat aag hai aisi ki jalna
dilon ke baKHt mein likkha gaya tha
Ghazal
Shajar se mil ke jo rone laga tha
Ateeq Ahmad