اردو हिंदी
Shajar jis pe main rahta hun use kaTa nahin karta | Shaahi Shayari
shajar jis pe main rahta hun use kaTa nahin karta

Ghazal

Shajar jis pe main rahta hun use kaTa nahin karta

Aatish Indori

;

shajar jis pe main rahta hun use kaTa nahin karta
main 'atish' mulk se sapne mein bhi dhoka nahin karta

banate kaise hain miTTi se sona mujh ko aata hai
magar main dosto aisa koi dawa nahin karta

bhula dete hain log aksar mohabbat mein kiye wade
tabhi to jaan main tum se koi wada nahin karta

main ek buDha shajar jis ko jawan rakkha parindon ne
tabhi to main parindon se koi shikwa nahin karta

uDanen dekhni hain gar to meri shairi dekho
parinda hun main par aisa kabhi dawa nahin karta