shajar jalte hain shaKHen jal rahi hain
hawaen hain ki paiham chal rahi hain
talab radd-e-talab donon qayamat
ye aankhen umr-bhar jal-thal rahi hain
chamakta chand-chehra samne tha
umangen bahr thin bekal rahi hain
dabe-panw meri tanhaiyon mein
hawaen KHwab ban kar chal rahi hain
sahar-dam sohbat-e-rafta ki yaaden
mere pahlu mein aankhen mal rahi hain
teri yaad aur be-KHwabi ki raaten
ye palken aankh par bojhal rahi hain
bahut pechida hain chahat ke andaz
ki ab dil-dariyan bhi khal rahi hain
taraazu hain KHirad-mandon ke dil mein
wahi baaten jo be-aTkal rahi hain
'ziya' un saaton mein umr guzri
khuli aankhon se jo ojhal rahi hain
Ghazal
Shajar jalte hain shaKHen jal rahi hain
Zia Jalandhari