shajar-e-ummid bhi jal gaya wo wafa ki shaKH bhi jal gai
mere dil ka naqsha badal gaya meri subh raat mein Dhal gai
wahi zindagi jo bahr nafas jo bahr qadam mere sath thi
kabhi mera sath bhi chhoD kar meri manzilen bhi badal gai
na wo aarzu hai na justuju na koi tasawwur-e-rang-o-bu
liye dil mein dagh-e-gham-e-KHizan main chaman se dur nikal gai
teri chaal puri na ho saki tera war KHali chala gaya
zara dekh gardish-e-asman ki main girte girte sambhal gai
teri chahaton se sanwar gae ye mere jamal ke aaine
main gulab ban ke mahak uThi main shafaq ke rang mein Dhal gai
ye tilism-e-mausam-e-gul nahin ki ye mojaza hai bahaar ka
wo kali jo shaKH se gir gai wo saba ki god mein pal gai
wahi saat-e-gham-e-arzu jo hamesha dil mein basi rahi
hai KHuda ka shukr ki 'afrin' wo hamare sar se to Tal gai
Ghazal
Shajar-e-ummid bhi jal gaya wo wafa ki shaKH bhi jal gai
Gulnar Aafreen