اردو हिंदी
Shajar bagh-e-jahan ka tha jahan tak sab samar laya | Shaahi Shayari
shajar bagh-e-jahan ka tha jahan tak sab samar laya

Ghazal

Shajar bagh-e-jahan ka tha jahan tak sab samar laya

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

shajar bagh-e-jahan ka tha jahan tak sab samar laya
magar ek naKHl-e-ah us mein na hum ne kuchh asar paya

bura to mante hain mere ro ro arz karne par
bhala tum ne kabhi kuchh hans ke mere haq mein farmaya

jahan ek hasti-e-be-bud hai jyun aks-e-aina
jo hum ne ghaur kar dekha to dhoka hi nazar aaya