shaiKH sahab se rasm-o-rah na ki
shukr hai zindagi tabah na ki
tujh ko dekha to ser-chashm hue
tujh ko chaha to aur chah na ki
tere dast-e-sitam ka ijz nahin
dil hi kafir tha jis ne aah na ki
the shab-e-hijr kaam aur bahut
hum ne fikr-e-dil-e-tabah na ki
kaun qatil bacha hai shahr mein 'faiz'
jis se yaron ne rasm-o-rah na ki
Ghazal
ShaiKH sahab se rasm-o-rah na ki
Faiz Ahmad Faiz