shaiKH o panDit dharm aur islam ki baaten karen
kuchh KHuda ke qahr kuchh inam ki baaten karen
yas-o-hirman-o-gham-o-alam ki baaten karen
aa dil-e-iza-talab kuchh kaam ki baaten karen
ye sunaen pak naghme awwalin ilham ke
wo KHuda ke aaKHiri paigham ki baaten karen
hum khaDe sunte rahen aur dil mein ye kahte rahen
ab ye ruKHsat hon to hum kuchh kaam ki baaten karen
dost se kah den dil-e-be-muddaa ki dastan
aaj saqi se shikast-e-jam ki baaten karen
umr bhar ka ahd-e-ulfat ek KHayal-e-KHam tha
aao lekin is KHayal-e-KHam ki baaten karen
zindagi be-shak tera inam hai ya-rab magar
sun sake to kuchh tere inam ki baaten karen
Ghazal
ShaiKH o panDit dharm aur islam ki baaten karen
Hari Chand Akhtar