shaiKH aaKHir ye surahi hai koi KHum to nahin
aur bhi baiThe hain mahfil mein hamin tum to nahin
na-KHuda hosh mein aa hosh tere gham to nahin
ye to sahil ke hain aasar-e-talatum to nahin
naz-o-andaz-o-ada honTon pe halki si hansi
teri taswir mein sab kuchh hai takallum to nahin
dekh anjam mohabbat ka bura hota hai
mujh se duniya yahi kahti hai bas ek tum to nahin
muskuraate hain saliqe se chaman mein ghunche
tum se sikha hua andaz-e-tabassum to nahin
ab ye mansur ko di jati hai nahaq suli
haq ki puchho to wo andaz-e-takallum to nahin
chandni-raat ka kya lutf 'qamar' ko aae
lakh taron ki bahaaren hain magar tum to nahin
Ghazal
ShaiKH aaKHir ye surahi hai koi KHum to nahin
Qamar Jalalvi

