shahryaron ne dikhain mujh ko taswiren bahut
teri basti tak milin raste mein jagiren bahut
nazr-e-atish kar rahe ho aaj par kal dekhna
in sahifon ki likhi jaengi tafsiren bahut
aaj bhi mere liye mashkuk hai tera lagaw
pattharon pe naqsh dekhin main ne tahriren bahut
sat rangon mein baTi ho jaise suraj ki kiran
KHwab dekha ek, dekhin us ki tabiren bahut
ab bichhaD kar phir rahi hai ban ki dewi bad-hawas
mujh se wahshi ke liye tarsi thin zanjiren bahut
un ko fursat hi na mil pai ki suljhaen ye jal
KHatm ho kar rah gain hathon mein taqdiren bahut
wo kisi pahlu mujhe qatil na lagta tha 'salim'
yun to thin aaraish-e-diwar shamshiren bahut

Ghazal
Shahryaron ne dikhain mujhko taswiren bahut
Saleem Shahzad