shahr se yar sawar hua jo sawad mein KHub ghubar hai aaj
dashti wahsh o tair us ke sar tezi hi mein shikar hai aaj
barafaroKHta ruKH hai us ka kis KHubi se masti mein
pi ke sharab shagufta hua hai us nau-gul pe bahaar hai aaj
us ka bahr-e-husn sarasar auj o mauj o talatum hai
shauq ki apne nigah jahan tak jawe bos-o-kanar hai aaj
aankhen us ki lal huin hain aur chale jate hain sar
raat ko daru pi soya tha us ka subh KHumar hai aaj
ghar aae ho faqiron ke to aao baiTho lutf karo
kya hai jaan bin apne kane so in qadmon pe nisar hai aaj
kya puchho ho sanjh talak pahlu mein kya kya taDpa hai
kal ki nisbat dil ko hamare bare kuchh to qarar hai aaj
KHub jo aankhen khol ke dekha shaKH-e-gul sa nazar aaya
un rangon phulon mein mila kuchh mahw-e-jalwa-e-yar hai aaj
jazb-e-ishq jidhar chahe le jae hai mahmil laila ka
yani hath mein majnun ke naqe ki us ke mahaar hai aaj
raat ka pahna haar jo ab tak din ko utara un ne nahin
shayad 'mir' jamal-e-gul bhi us ke gale ka haar hai aaj
Ghazal
Shahr se yar sawar hua jo sawad mein KHub ghubar hai aaj
Mir Taqi Mir