اردو हिंदी
Shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta | Shaahi Shayari
shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta

Ghazal

Shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta

Daniyal Tareer

;

shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta
bain karne lagi aa ke sham-o-sahar matami faKHta

mar gaya raat ko barf oDhe hue ek footpath par
wo jo kahta raha lafz wo umr-bhar shanti faKHta

kaisi kaisi hawaen chalin bagh mein kaun aaya gaya
sari tabdiliyon se rahi be-KHabar bawri faKHta

wo nagar chand ka hai wahan teri kirnon ki KHwahish kise
is taraf tirgi hai yahan la ke dhar tashtari faKHta

be-aman shahr mein kaisi dahshat se guzri thi main kya kahun
jab adu dekhti apne hi baal-o-par nochti faKHta

wo jo aankhon mein thi koi duniya alag thi jahan se juda
mere KHwabon mein the amn ka rahbar raushni faKHta

main tha shair mujhe shahr-ashob likhne the likhta raha
teri qismat mein likhe gae kyun khanDar sundari faKHta