shahr se jab bhi koi shahr juda hota hai
har taraf naqshe pe kohram bapa hota hai
roz ek bagh guzarta hai isi raste se
roz kashkol mein ek phul dhara hota hai
zaKHm aur peD ne ek sath dua mangi hai
dekhiye pahle yahan kaun hara hota hai
ek duje ko kabhi jaan nahin pae hum
main naya hota hun ya KHwab naya hota hai
main suna aaya hun kal raat use apni katha
jaane ab yar ki diwar ka kya hota hai
Ghazal
Shahr se jab bhi koi shahr juda hota hai
Abid Malik