اردو हिंदी
Shahr se ek taraf dur bahut | Shaahi Shayari
shahr se ek taraf dur bahut

Ghazal

Shahr se ek taraf dur bahut

Tilok Chand Mahroom

;

shahr se ek taraf dur bahut
aaj roya dil-e-mahjur bahut

dur hai subh shab-e-gham ai dil
hai sitaron main abhi nur bahut

kis ko manzur tha ruswa hona
dil ke hathon hue majbur bahut

maut ayyam-e-jawani mein bhi
nazar aati thi magar dur bahut

munhasir wadi-e-sina pe nahin
jazb-e-musa ho agar tur bahut

ek hi war ke qabil nikla
yun to kahne ko hain mansur bahut

tum ko kis ranj ne mara 'mahrum'
ki nazar aate ho ranjur bahut