shahr meri majburi ganw meri aadat hai
ek saneha mujh par ek meri wirasat hai
ye bhi ek karishma hai biswin sadi tera
maut ke shikanje mein zindagi salamat hai
phir 'anis' mimber par marsiya paDhen aa kar
karbala ye duniya hai har ghaDi shahadat hai
jaise chahe ji lije phenkiye ya pi lije
zindagi to har ghar mein chaar din ki mohlat hai
waqt ke badalne se dil kahan badalte hain
aap se mohabbat thi aap se mohabbat hai
muskura ke khul jaana khul ke phir bikhar jaana
in dinon to phulon mein aap si shararat hai
ek sada ye aati hai meri KHwab-gahon mein
dil ko chain aa jaana dard ki alamat hai
tu gaya namazon mein main gaya jawazon mein
wo teri ibaadat thi ye meri ibaadat hai
meri rae puchho to ye buri-bhali duniya
aap jitne achchhe hain utni KHub-surat hai
Ghazal
Shahr meri majburi ganw meri aadat hai
Nazim Naqvi