shahr mein ek ajab KHak-ba-sar aaya hai
koi uftad paDi hai ki idhar aaya hai
ye to us shahr ke raste bhi samajhte honge
aane wala baDi rahon se guzar aaya hai
kaun jogi hai kahin jis ka basera na paDaw
kya musafir hai ki be-sham-o-sahar aaya hai
kaisa wahshi hai ki wahshat ki haden toD gaya
koi sahra ki taraf ja ke bhi ghar aaya hai
har KHam-e-jada khula surat-e-gesu kaisa
har KHat-e-sang mein kya tujh ko nazar aaya hai
bazm-e-yaran nigran ghol-e-harifan raqsan
ek tamasha ba-tamasha-e-digar aaya hai
zindagi karne lagi shahr ke halqe mein tawaf
rasta koh se dariya mein utar aaya hai
kab uTha bar-e-karam lekin uTha hai is bar
waqt gardish mein kab aaya tha magar aaya hai
wahi imkan-e-ghurub aur wahi saman-e-tulu
ya safar KHatm hai ya waqt-e-safar aaya hai
Ghazal
Shahr mein ek ajab KHak-ba-sar aaya hai
Mahshar Badayuni