اردو हिंदी
Shahr mein chhai hui diwar-ta-diwar thi | Shaahi Shayari
shahr mein chhai hui diwar-ta-diwar thi

Ghazal

Shahr mein chhai hui diwar-ta-diwar thi

Ashar Hashmi

;

shahr mein chhai hui diwar-ta-diwar thi
ek pathrili KHamoshi paikar-e-guftar thi

baadalon ki chiTThiyan kya aain dariyaon ke nam
har taraf pani ki ek chalti hui diwar thi

inkishaf-e-shahr-e-na-malum tha har sher mein
tajrabe ki taza-kari surat-e-ashaar thi

aarzu thi samne baiThe rahen baaten karen
aarzu lekin bechaari kis qadar lachaar thi

ghar ki donon khiDkiyan khulti thin sare shahr par
ek hi manzar ki pure shahr mein takrar thi

aansuon ke chand qatron se thi tar puri kitab
har waraq par ek surat mael-e-guftar thi

us se milne ki talab mein ji liye kuchh aur din
wo bhi KHud bite dinon se bar-sar-e-paikar thi