shahr ko choT pe rakhti hai gajar mein koi chiz
billiyan DhunDhti rahti hain khanDar mein koi chiz
chaak hain zaKHm ke pani mein hawa mein nasur
muTThiyan tol ke nikli hai safar mein koi chiz
barha aankhen ghani karta hun us pe phir bhi
chhuT rahti hai nigah se gul-e-tar mein koi chiz
kabhi baiThak se rasoi kabhi dalan se chhat
bawli phirti hai tujh bin mere ghar mein koi chiz
zindagi aag pe leTi hui parchhain hai kya
bas dhuan deti hai har waqt jigar mein koi chiz
shahr-e-sani mein shajar-kari na ki danista
phir nikal aae kahin barg-o-samar mein koi chiz
hashr tak jiti rahengi meri ghazlen 'tafzil'
oxigen si labaalab hai hunar mein koi chiz
Ghazal
Shahr ko choT pe rakhti hai gajar mein koi chiz
Tafzeel Ahmad