shahr ki rasm hai purani wahi
sazishen taza hain kahani wahi
dard ke mausamon se kya ummid
sab balaen hain aasmani wahi
phir se khincho hifazaton ke hisar
phir hai dariyaon ki rawani wahi
hum faqiron ke hausle dekho
zaKHm jitne hon sargirani wahi
sare aasar hain judai ke
surmai sham hai suhani wahi
KHar boe to zaKHm palenge
waqt dohraega kahani wahi
yun to sadiyan guzar gain 'qaisar'
dil ke sadme teri jawani wahi
Ghazal
Shahr ki rasm hai purani wahi
Qaisar Abbas