shahr ke dukan-daro karobar-e-ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge
dil ke dam kitne hain KHwab kitne mahnge hain aur naqd-e-jaan kya hai tum na jaan paoge
koi kaise milta hai phul kaise khilta hai aankh kaise jhukti hai sans kaise rukti hai
kaise rah nikalti hai kaise baat chalti hai shauq ki zaban kya hai tum na jaan paoge
wasl ka sukun kya hai hijr ka junun kya hai husn ka fusun kya hai ishq ka darun kya hai
tum mariz-e-danai maslahat ke shaidai rah-e-gum-rahan kya hai tum na jaan paoge
zaKHm kaise phalte hain dagh kaise jalte hain dard kaise hota hai koi kaise rota hai
ashk kya hai nale kya dasht kya hai chhaale kya aah kya fughan kya hai tum na jaan paoge
na-murad dil kaise subh-o-sham karte hain kaise zinda rahte hain aur kaise marte hain
tum ko kab nazar aai gham-zadon ki tanhai zist be-aman kya hai tum na jaan paoge
jaanta hun main tum ko zauq-e-shaeri bhi hai shaKHsiyat sajaane mein ek ye mahri bhi hai
phir bhi harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyan kya hai tum na jaan paoge
Ghazal
Shahr ke dukan-daro karobar-e-ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge
Javed Akhtar