shahr ke diwar-o-dar par rut ki zardi chhai thi
har shajar har peD ki qismat mein ab tanhai thi
jine walon ka muqaddar shohraten banti rahin
marne walon ke liye ab dasht ki tanhai thi
chashm-poshi ka kisi zi-hosh ko yara na tha
rut salib-o-dar ki is shahr mein phir aai thi
main ne zulmat ke fusun se bhagna chaha magar
mere pichhe bhagti phirti meri ruswai thi
barishon ki rut mein koi kya likhe aaKHir 'said'
lafz ke chehron ki rangat bhi bahut dhundlai thi
Ghazal
Shahr ke diwar-o-dar par rut ki zardi chhai thi
Taj Saeed