shahr ka shahr salibon se saja hai ab ke
un ki aamad ka har andaz naya hai ab ke
qafila qafila maqtal ki taraf jaenge log
shoKH pahle se bahut rang-e-hina hai ab ke
ye to sach hai wo isi rah se guzrenge magar
koi dekhe na inhen hukm hua hai ab ke
aao ji bhar ke gale mil len rafiqo hum aaj
qatl ki shakl mein inam-e-wafa hai ab ke
mausam-e-gul tere sadqe teri aamad ke nisar
dekh mujh se mera saya bhi juda hai ab ke
ek qatra nahin deti hai guzar jati hai
jo bhi uThti hai ghaTa aisi ghaTa hai ab ke
dosto zikr-e-ruKH-e-yar se ghafil na raho
dasht-e-zulmat mein mahtab luTa hai ab ke
Ghazal
Shahr ka shahr salibon se saja hai ab ke
Akhtar lakhnvi