shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa
sans leta hai mere samne sahra kaisa
mere ehsas mein ye aag bhari hai kis ne
raqs karta hai meri ruh mein shola kaisa
teri parchhain hun nadan judai kaisi
meri aankhon mein phira KHauf ka saya kaisa
apni aankhon pe tujhe itna bharosa kyun hai
tere bimar chale tu hai masiha kaisa
ye nahin yaad ki pahchan hamari kya hai
ek tamashe ke liye swang rachaya kaisa
mat phiri thi ki harifana chale duniya se
sochte KHak ki mawwaj hai dariya kaisa
subh tak raat ki zanjir pighal jaegi
log pagal hain sitaron se ulajhna kaisa
dil hi ayyar hai be-wajh dhaDak uThta hai
warna afsurda hawaon mein bulawa kaisa
aaj KHamosh hain hangama uThane wale
hum nahin hain to karachi hua tanha kaisa
Ghazal
Shahr ka shahr hua jaan ka pyasa kaisa
Saqi Faruqi