اردو हिंदी
Shahr ka shahr harif-e-lab-o-ruKHsar mila | Shaahi Shayari
shahr ka shahr harif-e-lab-o-ruKHsar mila

Ghazal

Shahr ka shahr harif-e-lab-o-ruKHsar mila

Manzar Ayubi

;

shahr ka shahr harif-e-lab-o-ruKHsar mila
nam mera hi likha kyun sar-e-diwar mila

sochte sochte dhundla gae yaadon ke nuqush
fikr ko mere na ab tak lab-e-izhaar mila

mushtahar kar diya itna teri chahat ne mujhe
nam ghar ghar mein mera surat-e-aKHbar mila

jis ki qurbat ko tarasta tha zamana kal tak
aaj wo shaKHs akela sar-e-bazar mila

meri sachchai ko is waqt saraha tu ne
sar pe jab bandh ke main jhuT ki dastar mila

aankhon aankhon hi mein lahraen bahaaren 'manzar'
ek shajar bhi na bhare bagh mein phaldar mila