shahr ka rog hai jis samt bhi bas jaega tu
khule sahraon ki aawaz ko Das jaega tu
jab bhi yaadon ki zamistani hawa chiKHegi
apne barfile makanon mein jhulas jaega tu
soKHta sham ki mahmil hun main jata hai kahan
sath mere hi ba-andaz-e-jaras jaega tu
aaj main apne taaqub mein nikal jaunga
kal mere naqsh-e-kaf-e-pa ko taras jaega tu
dekh wo dasht ki diwar hai sab ka maqtal
is baras jaunga main agle baras jaega tu
main bujhi mahfilon ki ashtray ki ek pyas
rakh ban kar mere honTon pe baras jaega tu
is qadar rasm-o-rah-e-jism 'musawwir' na baDha
apne hi jism ko ek roz taras jaega tu
Ghazal
Shahr ka rog hai jis samt bhi bas jaega tu
Musavvir Sabzwari