shahr-e-shor-o-shar tanha ghar ke baam-o-dar tanha
tum nahin to lagta hai aalam-e-bashar tanha
dard aashna tair chheD naghma-e-hasrat
kyun KHamosh baiTha hai gham ki shaKH par tanha
jab KHushi ka mausam tha ham-safar tha ek aalam
kaTni hai ab lekin gham ki rahguzar tanha
har taraf teri yaaden muskuraati rahti hain
kis ne kah diya tujh se ab hai mera ghar tanha
tum ne baad muddat ke dil ka haal puchha hai
karwaTen badalta hai gham ki sej par tanha
shahr ke gali kuche puchhte hain rah rah kar
ai 'sarosh' phirte ho kyun idhar-udhar tanha
ai 'sarosh' mat puchho meri kya haqiqat hai
zindagi ke sahra mein dard ka shajar tanha

Ghazal
Shahr-e-shor-o-shar tanha ghar ke baam-o-dar tanha
Rifat Sarosh