shahr-e-jaan mein iztirab-e-soz-e-fan dekhega kaun
mere andar ek qulzum maujzan dekhega kaun
muzmahil sochon ke is jhulse hue mahaul mein
tera husn-e-qamat-e-sarw-e-saman dekhega kaun
raat ne aankhon mein bhar din is qadar tarikiyan
subh to hogi magar pahli kiran dekhega kaun
apni apni aag mein aankhen jhulas kar rah gain
tere lab ke phul tera bankpan dekhega kaun
log to apne gharon mein band ho kar rah gae
mere KHun se surKHi-e-sham-e-watan dekhega kaun
mere bahar to saba ka lams hai KHushbu bhi hai
mujh mein aa kar mere andar ki ghuTan dekhega kaun
log to pujenge KHud mere tarashida KHuda
kaun hai 'azar' KHuda-e-fikr-o-fan dekhega kaun
Ghazal
Shahr-e-jaan mein iztirab-e-soz-e-fan dekhega kaun
Shamim Azar