اردو हिंदी
Shahr-e-ghazal mein bikne ko tayyar kaun hai | Shaahi Shayari
shahr-e-ghazal mein bikne ko tayyar kaun hai

Ghazal

Shahr-e-ghazal mein bikne ko tayyar kaun hai

Raees Akhtar

;

shahr-e-ghazal mein bikne ko tayyar kaun hai
yusuf nahin to zinat-e-bazar kaun hai

sab ke labon pe nara-e-mansur hai magar
ye dekhna hai aaj sar-e-dar kaun hai

apna zamir jhuT kabhi bolta nahin
tum hi kaho ki sahab-e-kirdar kaun hai

tark-e-talluqat ko ek umr ho gai
tanhaiyon mein mail-e-guftar kaun hai

taswiren rose banti hain sheron ki shakl mein
mere tasawwuraat ka shahkar kaun hai

jalne ko shama bhi jali parwana bhi jala
kaise kahen ki kis ka wafadar kaun hai

hum log KHanqahon mein jaenge kis tarah
sab parsa hain hum sa gunahgar kaun hai

ashkon ke phul le ke main nikla to hun 'rais'
ye dekhna hai un ka KHaridar kaun hai