shahr-e-dil sulga to aahon ka dhuan chhane laga
shabnami aanchal magar yaadon ka lahrane laga
sham-e-tanhai mein bhi ek shaKHs ki yaadon ka sath
rang apne gham ke viranon ka sanwlane laga
tham kar baiTha raha main chandni ka narm hath
jab andhera zulf ka mahaul par chhane laga
dasht-e-tanhai mein ji chaha use aawaz dun
jab pukara KHud sada se apni Takrane laga
sham hi se jal uThe jab us ki yaadon ke charagh
chhanw mein taron ki shab par bhi nikhaar aane laga

Ghazal
Shahr-e-dil sulga to aahon ka dhuan chhane laga
Satya Nand Java