اردو हिंदी
Shahr-e-dil kunj-e-bayaban nahin tha pahle | Shaahi Shayari
shahr-e-dil kunj-e-bayaban nahin tha pahle

Ghazal

Shahr-e-dil kunj-e-bayaban nahin tha pahle

Ali Muzammil

;

shahr-e-dil kunj-e-bayaban nahin tha pahle
main kabhi itna pareshan nahin tha pahle

baen pahlu mein jo ek sang paDa hai sakit
ye dhaDakta bhi tha be-jaan nahin tha pahle

shahryaron se marasim the bahut hi gahre
tira-baKHton se bhi anjaan nahin tha pahle

lafz ruThe hue rahte the qalam se aksar
jin se tajdid ka imkan nahin tha pahle

jab safar kaT liya hai to mila hai sab kuchh
sath mere koi saman nahin tha pahle

ab bhi be-nam basar hote hain auqat mere
dil mein tauqir ka arman nahin tha pahle

aaj chadar ke barabar hai mere qad ki bisat
main kisi shahr ka sultan nahin tha pahle

khae baiTha hai zamane se talluq ka fareb
tu 'ali' itna to nadan nahin tha pahle