shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha
jab wo shahr-ara gaya phir shahr-e-dil mein kya raha
kya raha phir shahr-e-dil mein juz-hujum-e-dard-o-gham
thi jahan fauj-e-tarab wan lashkar-e-gham aa raha
aa raha aankhon mein dam to bhi na aaya wo sanam
haif kis se pochhiye ja kar ki wo kis ja raha

Ghazal
Shahr-e-dil aabaad tha jab tak wo shahr-ara raha
Nazeer Akbarabadi