shahr-dar-shahr fazaon mein dhuan hai ab ke
kis se kahiye ki qayamat ka saman hai ab ke
aankh rakhta hai to phir dekh ye sahme chehre
kan rakhta hai to sun kitni fughan hai ab ke
chand kaliyon ke chaTakne ka nahin nam bahaar
qafila kal ka chala tha to kahan hai ab ke
thi magar itni na thi kor zamane ki nazar
ek qatil pe masiha ka guman hai ab ke
itna sannaTa hai kuchh bolte Dar lagta hai
sans lena bhi dil o jaan pe giran hai ab ke
honT sil jaen to kya aankh to raushan hai meri
chashm-e-KHun-nab ka har ashk rawan hai ab ke
khul ke kuchh kah na sakun chup bhi magar rah na sakun
kis qadar zaiq mein KHalid meri jaan hai ab ke
Ghazal
Shahr-dar-shahr fazaon mein dhuan hai ab ke
Anvar Mahmood Khalid