اردو हिंदी
Shahr-dar-shahr dida-war bhaTke | Shaahi Shayari
shahr-dar-shahr dida-war bhaTke

Ghazal

Shahr-dar-shahr dida-war bhaTke

Farhat Abbas

;

shahr-dar-shahr dida-war bhaTke
zoam-e-baatil mein tajwar bhaTke

KHud-sari mein jo mo'atabar bhaTke
ham-safar un ke be-KHabar bhaTke

fan ki pagDanDiyon pe chalte hue
kabhi bhaTke to be-hunar bhaTke

hum jo bhaTke to na-shanasa the
rahbar kyun idhar udhar bhaTke

ek aalam ko jis ne bhaTkaya
kabhi yun ho ki wo nazar bhaTke

apni manzil ka ilm hote hue
phir bhi hum jaan-bujh kar bhaTke

zindagi ke libas-e-KHasta mein
dhup mein hum barahna-sar bhaTke

kis mein himmat thi hum ko bhaTkata
apni KHwahish pe umr-bhar bhaTke

hae us gul-badan ki hasrat mein
yun bhaTakna na tha magar bhaTke

us ko bhi pa sake nahin 'farhat'
jis ki KHwahish mein dar-ba-dar bhaTke