shahr bhar mein kahin raunaq thi na tabani thi
har taraf chhai hui gard-e-pareshani thi
jab sarabon pe qanaat ka saliqa aaya
ret ko hath lagaya to wahin pani thi
sada-lauhi meri rakhti thi tawaqqoa tujh se
mujh se ummid lagae teri nadani thi
kya bataun ki use dekh ke hairan kyun hun
ek aaina tha aaine mein hairani thi
ab nadamat ke samundar mein lagaen ghote
aarzuon ne kahan baat meri mani thi
muKHtasar us ko kiya hai mutabassim ho kar
warna rudad mere dard ki tulani thi
ai 'muzaffar' mujhe ta-umr rahi fikr-e-suKHan
jab ki fursat thi mayassar na tan-asani thi
Ghazal
Shahr bhar mein kahin raunaq thi na tabani thi
Muzaffar Hanfi