shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi
aaj phir sachchai ki surat chhupa li jaegi
us ki aankhon mein lapakti aag hai behad shadid
sochta hun ye qayamat kaise Tali jaegi
mushtail kar dega us ko ek zara sa ehtijaj
mujh pe kya guzri hai is par KHak Dali jaegi
qaid ka ehsas bhi hoga na hum ko dosto
yun hamare panw mein zanjir Dali jaegi
ai mohabbat lafz ban kar itni sanjida na ho
ek din tu bhi kitabon se nikali jaegi
sharm se KHurshid apna munh chhupa lega kahin
roz-e-raushan mein bhi 'danish' raat Dha li jaegi

Ghazal
Shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi
Sarfraz Danish