shahr apna hai magar log kahan hain apne
kahne sunne ko zaman aur makan hain apne
ye dua farz samajh kar main kiye jata hun
KHair se KHush rahen ahbab jahan hain apne
kab alag thi meri duniya se jo jannat chhoTi
koi apna tha wahan aur na yahan hain apne
aaina mez ka apni kabhi hissa na bana
shahr mein kahne ko sab shisha-garan hain apne
aaj ke sare yaqin un ke liye un ke liye
rang jo badlen wo asbab-e-guman hain apne
apne chehre ki KHabar jin ko nahin hai 'afsar'
un ki aankhon pe sabhi aib ayan hain apne
Ghazal
Shahr apna hai magar log kahan hain apne
Razzaq Afsar