shahpara-e-adab ho agar wardat-e-dil
naqsh-o-nigar-e-fikr mein ho jae muntaqil
tha e'tibar-e-zabt magar aaj na-gahan
KHud wo taDap uThe hain kuchh aisa dukha hai dil
lutf-o-karam ki ab wo tamanna nahin rahi
kis daur mein hui hai teri chashm munfail
thi aarzu sakun ki magar is qadar nahin
is shiddat-e-KHulus se ghabra gaya hai dil
kis waqt yaad aai hai daur-e-nashat ki
mahaul bhi udas tabiat bhi muzmahil
muddat ke baad aaj mile bhi to is tarah
kuchh hum bhi sharmsar hain kuchh wo bhi hain KHajil
Ghazal
Shahpara-e-adab ho agar wardat-e-dil
Iqbal Mahir