اردو हिंदी
Shahid-e-ishq hue qais namwar ki tarah | Shaahi Shayari
shahid-e-ishq hue qais namwar ki tarah

Ghazal

Shahid-e-ishq hue qais namwar ki tarah

Meer Anees

;

shahid-e-ishq hue qais namwar ki tarah
jahan mein aib bhi hum ne kiye hunar ki tarah

kuchh aaj sham se chehra hai faq sahar ki tarah
Dhala hi jata hun furqat mein dopahar ki tarah

siyah-baKHton ko yun bagh se nikal ai charKH
ki chaar phul to daman mein hon sipar ki tarah

tamam KHalq hai KHwahan-e-abru ai rab
chhupa mujhe sadaf-e-qabr mein guhar ki tarah

tujhi ko dekhunga jab tak hain barqarar aankhen
meri nazar na phiregi teri nazar ki tarah

hamari qabr pe kya ehtiyaj-e-ambar-o-ud
sulag raha hai har ek ustuKHan agar ki tarah

nahif-o-zar hain kya zor baghban se chale
jahan biTha diya bas rah gae shajar ki tarah

tumhaare halqa-ba-goshon mein ek hum bhi hain
paDa rahe ye suKHan kan mein guhar ki tarah

'anis' yun hua haal-e-jawani-o-piri
baDhe the naKHl ki surat gire samar ki tarah