shahar parbat bahr-o-bar ko chhoDta jata hun main
ek tamasha ho raha hai dekhta jata hun main
hosh uDta ja raha hai garmi-e-raftar mein
dekhta jata hun main aur bhulta jata hun main
abr hai aflak par aur ek sarasima qamar
ek dasht-e-raegan mein dauDta jata hun main
hun makan mein band jaise imtihan mein aadmi
saKHti-e-diwar-o-dar hai jhelta jata hun main
nam hai mere sher se us chashm-e-sang-alud mein
KHwab hun us chashm-e-tar mein phailta jata hun main
shauq hain kuchh jin ke pichhe chal raha hun main 'munir'
ranj hain kuchh dil mein mere khinchta jata hun main
Ghazal
Shahar parbat bahr-o-bar ko chhoDta jata hun main
Muneer Niyazi

