اردو हिंदी
Shahar mein ole paDe hain sar salamat hai kahan | Shaahi Shayari
shahar mein ole paDe hain sar salamat hai kahan

Ghazal

Shahar mein ole paDe hain sar salamat hai kahan

Imam Azam

;

shahar mein ole paDe hain sar salamat hai kahan
is qadar hai tez aandhi ghar salamat hai kahan

raat ne aisi siyahi ab bikheri chaar-su
aankh walon ke liye manzar salamat hai kahan

aap kahte hain chhupa lun apni uryani magar
jism se lipTi hui chadar salamat hai kahan

qulqul-e-mina se apni pyas to bujhti nahin
chur sab shishe hue saghar salamat hai kahan

reza reza ho gai har shaKHs ki pakizgi
sang-sari ke liye patthar salamat hai kahan

koi chehra asl surat mein rahe baqi to kyun
but-shikan ke ahd mein aazar salamat hai kahan

har taraf ek jang ka mahaul hai 'azam' yahan
aadmi ab ghar ke bhi andar salamat hai kahan