shahar ki fasilon par zaKHm jagmagaenge
ye charagh-e-manzil hain rasta bataenge
peD hum mohabbat ke dasht mein lagaenge
be-makan parindon ko dhup se bachaenge
zahr jab bhi ugloge dosti ke parde mein
pattharon ke lahje mein hum bhi gungunaenge
jangalon ki jharnon ki kaghzi ye taswiren
ghar ke band kamron mein kab talak sajaenge
KHun ban ke rag rag mein dudh man ka bahta hai
qarz ye bhi wajib hai kaise hum chukaenge
thak ke lauT jaengi aandhiyan siyasat ki
jin ki lau rahe qaem wo diye jalaenge
ye jhuki jhuki palken mat uThaiye sahab
jhil jaisi aankhon mein log Dub jaenge
Ghazal
Shahar ki fasilon par zaKHm jagmagaenge
Farooq Anjum