shahar-e-ghaflat ke makin waise to kab jagte hain
ek andesha-e-shabKHun hai ki sab jagte hain
shayad ab KHatm hua chahta hai ahd-e-sukut
harf-e-eajaz ki tasir se lab jagte hain
rah-e-gum-karda-e-manzil hain ki manzil ka suragh
kuchh sitare jo sar-e-qarya-e-shab jagte hain
aks in aaankhon se wo mahw hue jo ab tak
KHwab ki misl pas-e-chashm-e-talab jagte hain
harf-e-KHufta ki tarah chashm-e-taghaful ke bhi
baz auqat to mafhum ajab jagte hain
sahm jate hain munDeron pe kabutar 'sayyad'
raste beDiyon ki chap se jab jagte hain

Ghazal
Shahar-e-ghaflat ke makin waise to kab jagte hain
Sattar Syed